ziyaada saz-o-saman kuchh nahin ai baghban mera
ziyaada saz-o-saman kuchh nahin ai baghban mera
Shaheer Machlishahri
MORE BYShaheer Machlishahri
ziyāda sāz-o-sāmāñ kuchh nahīñ ai bāġhbāñ merā
banā hai chaar tinkoñ se chaman meñ āshiyāñ merā
shabāb-e-bevafā kī kis se ai piirī ḳhabar miltī
phirā ab tak na jā kar qāsid-e-umr-e-ravāñ merā
vafā-dārī ke jauhar aap ho jā.eñge ā.īna
tumheñ ḳhud haal khul jā.egā vaqt-e-imtihāñ merā
ravāñ hai qāfila ashkoñ kā har dam chashm-e-giryāñ se
chalā jaatā hai roz-o-shab barābar kārvāñ merā
adā-e-arz-e-matlab meñ ġhazab kī kāmyābī hai
ajab husn-e-talab rakhtā hai andāz-e-fuġhāñ merā
tafāvut hai zamīn-o-āsmāñ kā ijz-o-naḳhvat meñ
ḳhayāl-e-husn-o-ishq ai dil kahāñ un kā kahāñ merā
shab-e-furqat kā soyā shor-e-sub.h-e-hashr se chauñkā
'shahīr' is se ziyāda hogā kyā ḳhvāb-e-girāñ merā
ziyaada saz-o-saman kuchh nahin ai baghban mera
bana hai chaar tinkon se chaman mein aashiyan mera
shabab-e-bewafa ki kis se ai piri KHabar milti
phira ab tak na ja kar qasid-e-umr-e-rawan mera
wafa-dari ke jauhar aap ho jaenge aaina
tumhein KHud haal khul jaega waqt-e-imtihan mera
rawan hai qafila ashkon ka har dam chashm-e-giryan se
chala jata hai roz-o-shab barabar karwan mera
ada-e-arz-e-matlab mein ghazab ki kaamyabi hai
ajab husn-e-talab rakhta hai andaz-e-fughan mera
tafawut hai zamin-o-asman ka ijz-o-naKHwat mein
KHayal-e-husn-o-ishq ai dil kahan un ka kahan mera
shab-e-furqat ka soya shor-e-subh-e-hashr se chaunka
'shahir' is se ziyaada hoga kya KHwab-e-giran mera
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.