ziyaada sochne wale tujhe pata nahin hai
ziyāda sochne vaale tujhe pata nahīñ hai
jo tujh ko siine lagātā hai vo tirā nahīñ hai
vahāñ pe ham bhī haiñ maujūd DhūñDne vaalī
so tere dil meñ akelā tirā ḳhudā nahīñ hai
tumheñ pata hai ki tum kis liye hue ho zalīl
tumhāre paas koī apnā nazriya nahīñ hai
haiñ bad-dimāġh mirī tarah mere saare dost
koī bhī duniyā ke baare meñ sochtā nahīñ hai
ai laḌkī tujh ko bhalā mujh meñ kyā nazar aayā
'vaqār' ḳhām-sifat tere kaam kā nahīñ hai
ziyaada sochne wale tujhe pata nahin hai
jo tujh ko sine lagata hai wo tera nahin hai
wahan pe hum bhi hain maujud DhunDne wali
so tere dil mein akela tera KHuda nahin hai
tumhein pata hai ki tum kis liye hue ho zalil
tumhaare pas koi apna nazriya nahin hai
hain bad-dimagh meri tarah mere sare dost
koi bhi duniya ke bare mein sochta nahin hai
ai laDki tujh ko bhala mujh mein kya nazar aaya
'waqar' KHam-sifat tere kaam ka nahin hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.