ziyan jigar ka sahi ye jo shaghl-e-baada hai
ziyāñ jigar kā sahī ye jo shaġhl-e-bāda hai
dil-o-nazar ke liye is meñ kuchh ifāda hai
dikhā.ī dī hai jhalak us kī ek muddat ba.ad
ye ḳhvāb mere liye ḳhvāb se ziyāda hai
milā.egā ye kisī shāhrāh se mujh ko
miTā miTā sā jo qadmoñ meñ mere jaada hai
yahī bachā.egā tum dekhnā mirī baazī
bisāt par jo ye nāchīz sā piyāda hai
ye soch kar vo mirī baat kaaT dete haiñ
ki ho na ho ye kisī baat kā i.aada hai
yahāñ raheñge vo mere harīf ke hamrāh
unheñ gumāñ hai mirā dil bahut kushāda hai
vo ahl-e-bazm kī rañgīñ-navā.ī apnī jagah
hazār rañg liye merā harf saada hai
agar ḳhudā ne nikālā butoñ ke chakkar se
tavāf-e-ka.aba kā ab ke baras irāda hai
ziyan jigar ka sahi ye jo shaghl-e-baada hai
dil-o-nazar ke liye is mein kuchh ifada hai
dikhai di hai jhalak us ki ek muddat baad
ye KHwab mere liye KHwab se ziyaada hai
milaega ye kisi shahrah se mujh ko
miTa miTa sa jo qadmon mein mere jada hai
yahi bachaega tum dekhna meri bazi
bisat par jo ye nachiz sa piyaada hai
ye soch kar wo meri baat kaT dete hain
ki ho na ho ye kisi baat ka iada hai
yahan rahenge wo mere harif ke hamrah
unhen guman hai mera dil bahut kushada hai
wo ahl-e-bazm ki rangin-nawai apni jagah
hazar rang liye mera harf sada hai
agar KHuda ne nikala buton ke chakkar se
tawaf-e-kaba ka ab ke baras irada hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.