zoaf-e-shab ne ek aasuda thakan zinda kiya
zo.af-e-shab ne ek āsūda thakan zinda kiyā
jab huī murda havas us ne badan zinda kiyā
sāmne kī chiiz se Thokar lagī thī ek din
rauñd kar qadmoñ se āsār-e-kuhan zinda kiyā
karnā thā ma.atūb hotī sā.atoñ ko surḳh-rū
qahqahe gum karne kā us ne chalan zinda kiyā
ġham chamaktā thā añdhere meñ ba-rang-e-āftāb
ruḳh pe zulmat Daal kar us ne gahan zinda kiyā
apne ḳhuuñ ke rang se daryāft honā thā mujhe
kaaT kar dast-e-hunar maiñ ne ye fan zinda kiyā
bar-sabīl-e-tazkira jab mar gayā arz-e-hunar
maiñ ne 'raunaq' phir se mauzū-e-suḳhan zinda kiyā
zoaf-e-shab ne ek aasuda thakan zinda kiya
jab hui murda hawas us ne badan zinda kiya
samne ki chiz se Thokar lagi thi ek din
raund kar qadmon se aasar-e-kuhan zinda kiya
karna tha matub hoti saaton ko surKH-ru
qahqahe gum karne ka us ne chalan zinda kiya
gham chamakta tha andhere mein ba-rang-e-aftab
ruKH pe zulmat Dal kar us ne gahan zinda kiya
apne KHun ke rang se daryaft hona tha mujhe
kaT kar dast-e-hunar main ne ye fan zinda kiya
bar-sabil-e-tazkira jab mar gaya arz-e-hunar
main ne 'raunaq' phir se mauzu-e-suKHan zinda kiya
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.