zo'm kā hī to āriza hai mujhe
merā maiñ hī to khā gayā hai mujhe
ātish zer-e-pā Thaharne na de
ab to manzil bhī rāsta hai mujhe
dard to kam nahīñ magar us ne
ḳhūgar-e-zabt kar diyā hai mujhe
ḳhud-ġharaz bevafā haqīr-o-faqīr
us ne kyā kyā nahīñ kahā hai mujhe
maiñ talabgār thā masarrat kā
daftar-e-ranj-o-ġham milā hai mujhe
maiñ ne ash'ār kab likhe 'āzam'
mere ash'ār ne likhā hai mujhe
zo'm ka hi to aariza hai mujhe
mera main hi to kha gaya hai mujhe
aatish zer-e-pa Thaharne na de
ab to manzil bhi rasta hai mujhe
dard to kam nahin magar us ne
KHugar-e-zabt kar diya hai mujhe
KHud-gharaz bewafa haqir-o-faqir
us ne kya kya nahin kaha hai mujhe
main talabgar tha masarrat ka
daftar-e-ranj-o-gham mila hai mujhe
main ne ash'ar kab likhe 'azam'
mere ash'ar ne likha hai mujhe
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.