zuhur-e-nur se dil aaftab hota hai
zuhūr-e-nūr se dil āftāb hotā hai
visāl-e-qurb se banda ḳhudā nahīñ hotā
ye ham ne maanā ki ik ḳhāk-o-ḳhūñ kā putlā hai
magar vo chāhne vāloñ ko kyā nahīñ hotā
hasīn ḳhuun bahāte haiñ āshiqoñ kā yuuñ
dayār-e-ishq meñ kyā ḳhūñ-bahā nahīñ hotā
to khaTkaTāte haiñ dar bārgāh-e-maulā kā
jab aur koī hameñ aasrā nahīñ hotā
yahāñ to apnī lagan hī kā kul karishma hai
rah-e-ḳhudā meñ koī rahnumā nahīñ hotā
hazāroñ hāfiz-o-ḳhayyām haiñ zamāne meñ
ki be-misāl sivā.e ḳhudā nahīñ hotā
kisī ke kaam na aa.e jo farz adā na kare
vo aur kuchh bhī ho mard-e-ḳhudā nahīñ hotā
agar qubūl kareñ us kī vahdat-e-mutlaq
to jabr-o-qadr koī mas.ala nahīñ hotā
vo shakl badle ki āñkhoñ se ho rahe ojhal
kisī vajūd kā zarra fanā nahīñ hotā
yahīñ kahīñ vo zamān-o-makāñ meñ pinhāñ hai
ki apnī san'a se sān.e.a judā nahīñ hotā
zuhur-e-nur se dil aaftab hota hai
visal-e-qurb se banda KHuda nahin hota
ye hum ne mana ki ek KHak-o-KHun ka putla hai
magar wo chahne walon ko kya nahin hota
hasin KHun bahate hain aashiqon ka yun
dayar-e-ishq mein kya KHun-baha nahin hota
to khaTkaTate hain dar bargah-e-maula ka
jab aur koi hamein aasra nahin hota
yahan to apni lagan hi ka kul karishma hai
rah-e-KHuda mein koi rahnuma nahin hota
hazaron hafiz-o-KHayyam hain zamane mein
ki be-misal siwae KHuda nahin hota
kisi ke kaam na aae jo farz ada na kare
wo aur kuchh bhi ho mard-e-KHuda nahin hota
agar qubul karen us ki wahdat-e-mutlaq
to jabr-o-qadr koi masala nahin hota
wo shakl badle ki aankhon se ho rahe ojhal
kisi wajud ka zarra fana nahin hota
yahin kahin wo zaman-o-makan mein pinhan hai
ki apni san'a se sanea juda nahin hota
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.