zuhur-e-yusuf-e-jaan ki nishaniyan hain kai
zuhūr-e-yūsuf-e-jāñ kī nishāniyāñ haiñ ka.ī
zabān-e-ḳhalq pe uḌtī kahāniyāñ haiñ ka.ī
abhī shagufta hai siine meñ aarzū kā chaman
tire sitam se abhī ḳhush-gumāniyāñ haiñ ka.ī
is ek jor se dil kis tarah ho āzurda
abhī to yaad tirī mehrbāniyāñ haiñ ka.ī
jhukī nazar meñ hai nādīda jannatoñ kī naved
javāñ laboñ pe machaltī kahāniyāñ haiñ ka.ī
huī shabāb meñ bas ek hī ḳhatā ham se
samajh liyā thā ki aisī javāniyāñ haiñ ka.ī
guzar to le ye shab-e-hijr ek baar ai dil
tire nasīb meñ rāteñ suhāniyāñ haiñ ka.ī
zuhur-e-yusuf-e-jaan ki nishaniyan hain kai
zaban-e-KHalq pe uDti kahaniyan hain kai
abhi shagufta hai sine mein aarzu ka chaman
tere sitam se abhi KHush-gumaniyan hain kai
is ek jor se dil kis tarah ho aazurda
abhi to yaad teri mehrbaniyan hain kai
jhuki nazar mein hai nadida jannaton ki nawed
jawan labon pe machalti kahaniyan hain kai
hui shabab mein bas ek hi KHata hum se
samajh liya tha ki aisi jawaniyan hain kai
guzar to le ye shab-e-hijr ek bar ai dil
tere nasib mein raaten suhaniyan hain kai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.