zulf chhuTti tere ruKH par to dil apna phirta
zulf chhuTtī tire ruḳh par to dil apnā phirtā
ghar ko be-shām nahīñ sub.h kā bhūlā phirtā
dekhne ko jo mirā tū na tamāshā phirtā
to maiñ juuñ sho.ala-e-javvāla na chaltā-phirtā
kab jafāoñ se tirī dil hai hamārā phirtā
shak agar tujh ko hai zālim to dobāra phirtā
baḳht-e-bargashta-e-majnūñ abhī sīdhe ho jaa.eñ
dasht meñ aa.e agar nāqa-e-lailā phirtā
gardish-e-charḳh se sar kyuuñ na mah-o-ḳhur kā phire
ki shab o roz ye rahtā hai hiñDolā phirtā
jins-e-dil kā tirī us zulf se phirnā ma.alūm
ho ke ḳhat-kash jo bike vo nahīñ saudā phirtā
ḳhāl-e-ruḳhsār-e-butāñ kā nahīñ bhartā ye ḳhayāl
kishvar-e-dil meñ hamāre hai kanhayyā phirtā
dil kī qismat meñ azal se thī likhī tishna-labī
kyuuñ na us chāh-e-zaqan se ye piyāsā phirtā
sharm se dāman-e-sāhil meñ chhupī hai har mauj
tū jo aThkheliyoñ se hai lab-e-dariyā phirtā
dard-e-dil ishq kī chausar meñ na kaTtī hargiz
gar kabhī jiit kā apnī koī paasā phirtā
aaj piirī meñ bhī apne na phire baḳht-e-siyāh
ki daraḳhtoñ kā bhī din Dhalte hī saayā phirtā
TuuT jaatī jo kabhī aas tire milne kī
to na laTTū kī tarah dil ye hamārā phirtā
bā.is-e-jumbish-e-insāñ hai to ai tār-e-nafas
varna ye baiTh ke uThtā na ye chaltā-phirtā
sair-e-sahrā-e-junūñ-ḳhez kā armāñ na rahā
tere hāthoñ se maiñ kyā ābla-e-pā phirtā
tū ne har kaam pe kī chasm-numā.ī varna
maiñ bagūle kī tarah ḳhaak uḌātā phirtā
apne girye kī dikhātā maiñ tujhe tuġhyānī
gar shab-e-vasl mire paas na tū aa phirtā
anjum-e-charḳh bhī ban jaate haiñ mānind-e-habāb
maah kā sūrat-e-girdāb hai baalā phirtā
likh 'nasīr' ek ġhazal aur badal kar ke radīf
tausan-e-ḳhāma hai ab dekh to kaisā phirtā
zulf chhuTti tere ruKH par to dil apna phirta
ghar ko be-sham nahin subh ka bhula phirta
dekhne ko jo mera tu na tamasha phirta
to main jun shoala-e-jawwala na chalta-phirta
kab jafaon se teri dil hai hamara phirta
shak agar tujh ko hai zalim to dobara phirta
baKHt-e-bargashta-e-majnun abhi sidhe ho jaen
dasht mein aae agar naqa-e-laila phirta
gardish-e-charKH se sar kyun na mah-o-KHur ka phire
ki shab o roz ye rahta hai hinDola phirta
jins-e-dil ka teri us zulf se phirna malum
ho ke KHat-kash jo bike wo nahin sauda phirta
KHal-e-ruKHsar-e-butan ka nahin bharta ye KHayal
kishwar-e-dil mein hamare hai kanhayya phirta
dil ki qismat mein azal se thi likhi tishna-labi
kyun na us chah-e-zaqan se ye piyasa phirta
sharm se daman-e-sahil mein chhupi hai har mauj
tu jo aThkheliyon se hai lab-e-dariya phirta
dard-e-dil ishq ki chausar mein na kaTti hargiz
gar kabhi jit ka apni koi pasa phirta
aaj piri mein bhi apne na phire baKHt-e-siyah
ki daraKHton ka bhi din Dhalte hi saya phirta
TuT jati jo kabhi aas tere milne ki
to na laTTu ki tarah dil ye hamara phirta
bais-e-jumbish-e-insan hai to ai tar-e-nafas
warna ye baiTh ke uThta na ye chalta-phirta
sair-e-sahra-e-junun-KHez ka arman na raha
tere hathon se main kya aabla-e-pa phirta
tu ne har kaam pe ki chasm-numai warna
main bagule ki tarah KHak uData phirta
apne girye ki dikhata main tujhe tughyani
gar shab-e-wasl mere pas na tu aa phirta
anjum-e-charKH bhi ban jate hain manind-e-habab
mah ka surat-e-girdab hai baala phirta
likh 'nasir' ek ghazal aur badal kar ke radif
tausan-e-KHama hai ab dekh to kaisa phirta
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.