zulf-e-jaanan hai intiha ki shoKH
zulf-e-jānāñ hai intihā kī shoḳh
chashm maḳhmūr hai balā kī shoḳh
aap dekheñ to mere dil kā lahū
aisī surḳhī kahāñ hinā kī shoḳh
jaan jaatī hai marne vāloñ kī
jo adā hai vo dilrubā kī shoḳh
ik ishāre meñ kar diyā bismil
ye nazar hai tirī balā kī shoḳh
haath aayā hai us ko tujh sā sharīr
kyoñ adā.eñ na hoñ hinā kī shoḳh
ik duniyā meñ aatī jaatī hai
hai sabā kū-e-dilrubā kī shoḳh
mehr sharminda jis se maah ḳhajil
ham ne vo shakl chun ke taakī shoḳh
paḌh ke bole ġhazal vo 'hāmid' kī
shā.irī us kī hai balā kī shoḳh
zulf-e-jaanan hai intiha ki shoKH
chashm maKHmur hai bala ki shoKH
aap dekhen to mere dil ka lahu
aisi surKHi kahan hina ki shoKH
jaan jati hai marne walon ki
jo ada hai wo dilruba ki shoKH
ek ishaare mein kar diya bismil
ye nazar hai teri bala ki shoKH
hath aaya hai us ko tujh sa sharir
kyon adaen na hon hina ki shoKH
ek duniya mein aati jati hai
hai saba ku-e-dilruba ki shoKH
mehr sharminda jis se mah KHajil
hum ne wo shakl chun ke taki shoKH
paDh ke bole ghazal wo 'hamid' ki
shairi us ki hai bala ki shoKH
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.