zulf-e-mohabbat barham barham mi raqsam
zulf-e-mohabbat barham barham mī raqsam
vajd meñ hai phir chashm-e-pur-nam mī raqsam
ishq kī dhun meñ āñkheñ naġhma gaatī haiñ
ghol mire jazboñ meñ sargam mī raqsam
sā.iyāñ zaḳhm tirī hī jānib takte haiñ
aaj lagā nainoñ se marham mī raqsam
merī mastī meñ sarshārī terī hai
mere andar tere mausam mī raqsam
vahdat kā ik jaam pilā de āñkhoñ se
ek nazārā dekhūñ paiham mī raqsam
aa sāñval aa aise aan samā mujh meñ
raqsāñ hoñ do rūheñ bāham mī raqsam
phail ga.ī har gaam 'rabāb' mohabbat yuuñ
mī raqsam mī raqsam raqsam mī raqsam
zulf-e-mohabbat barham barham mi raqsam
wajd mein hai phir chashm-e-pur-nam mi raqsam
ishq ki dhun mein aankhen naghma gati hain
ghol mere jazbon mein sargam mi raqsam
saiyan zaKHm teri hi jaanib takte hain
aaj laga nainon se marham mi raqsam
meri masti mein sarshaari teri hai
mere andar tere mausam mi raqsam
wahdat ka ek jam pila de aankhon se
ek nazara dekhun paiham mi raqsam
aa sanwal aa aise aan sama mujh mein
raqsan hon do ruhen baham mi raqsam
phail gai har gam 'rabab' mohabbat yun
mi raqsam mi raqsam raqsam mi raqsam
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.