zulf ghaTa ban kar rah jae aankh kanwal ho jae
zulf ghaTā ban kar rah jaa.e aañkh kañval ho jaa.e
shāyad un ko pal bhar socheñ aur ġhazal ho jaa.e
jis dīpak ko haath lagā do jaleñ hazāroñ saal
jis kuTiyā meñ raat bitā do tāj-mahal ho jaa.e
kitnī yādeñ aa jaatī haiñ dastak diye baġhair
ab aisī bhī kyā vīrānī ghar jañgal ho jaa.e
tum aao to pañkh lagā kar uḌ jaa.e ye shaam
mīloñ lambī raat simaT kar pal do pal ho jaa.e
zulf ghaTa ban kar rah jae aankh kanwal ho jae
shayad un ko pal bhar sochen aur ghazal ho jae
jis dipak ko hath laga do jalen hazaron sal
jis kuTiya mein raat bita do taj-mahal ho jae
kitni yaaden aa jati hain dastak diye baghair
ab aisi bhi kya virani ghar jangal ho jae
tum aao to pankh laga kar uD jae ye sham
milon lambi raat simaT kar pal do pal ho jae
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.