zulf ruKH pe sawar karte hue
zulf ruḳh pe savār karte hue
maar Daalā siñghār karte hue
chūmne ko ġhalat na jāneñ aap
pyaar hotā hai pyaar karte hue
kyuuñ mirā e'tibār karte nahīñ
vo mirā e'tibār karte hue
rābta TūTne lagā us se
rābta ustuvār karte hue
toḌ baiThe vajūd apnā ham
ishq ko pā.edār karte hue
zulf ruKH pe sawar karte hue
mar Dala singhaar karte hue
chumne ko ghalat na jaanen aap
pyar hota hai pyar karte hue
kyun mera e'tibar karte nahin
wo mera e'tibar karte hue
rabta TuTne laga us se
rabta ustuwar karte hue
toD baiThe wajud apna hum
ishq ko paedar karte hue
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.