zulf se nisbat-e-nakaam liye phirte hain
zulf se nisbat-e-nākām liye phirte haiñ
dhuup meñ shā.iba-e-shām liye phirte haiñ
murda bastī hai ḳhabar kaun kisī kī legā
saath meñ dushman-o-dushnām liye phirte haiñ
ab junūñ meñ bhī to behosh nahīñ dīvāne
rū-ba-sahrā haiñ dar-o-bām liye phirte haiñ
sard chup-chāp zamīnoñ kī tarah hī ham log
apne andar koī kohrām liye phirte haiñ
har-qadam khultā hai ik band galī kī jānib
har-nafas ḳhadsha-e-anjām liye phirte haiñ
munfarid apne ḳhad-o-ḳhāl na ḳhāka apnā
vo jo agloñ ne rakhā naam liye phirte haiñ
zulf se nisbat-e-nakaam liye phirte hain
dhup mein shaiba-e-sham liye phirte hain
murda basti hai KHabar kaun kisi ki lega
sath mein dushman-o-dushnam liye phirte hain
ab junun mein bhi to behosh nahin diwane
ru-ba-sahra hain dar-o-baam liye phirte hain
sard chup-chap zaminon ki tarah hi hum log
apne andar koi kohram liye phirte hain
har-qadam khulta hai ek band gali ki jaanib
har-nafas KHadsha-e-anjam liye phirte hain
munfarid apne KHad-o-KHal na KHaka apna
wo jo aglon ne rakha nam liye phirte hain
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.