zulf suljhai unki shane se
zulf suljhā.ī un kī shāne se
mujh se bigḌe isī bahāne se
dil hī qaabū se mere jaatā hai
baaz aaya maiñ dil lagāne se
likkhā taqdīr kā are nādāñ
kahīñ miTtā bhī hai miTāne se
mil ga.e dil ko dāġh-hā-e-diram
ḳhusrav-e-ishq ke ḳhazāne se
shab ko mahfil meñ dekh kar mujh ko
uTh gayā niiñd ke bahāne se
kyā milegā falak tujhe batlā
bekasoñ ke are satāne se
dekh kar rāt-din kī nairangī
aa gayā tang maiñ zamāne se
dar-ba-dar phirte kis liye lekin
sab haiñ nā-chār āb-o-dāne se
apne qātil ke rū-ba-rū 'ḳhanjar'
moḌnā muñh na sar jhukāne se
zulf suljhai un ki shane se
mujh se bigDe isi bahane se
dil hi qabu se mere jata hai
baz aaya main dil lagane se
likkha taqdir ka are nadan
kahin miTta bhi hai miTane se
mil gae dil ko dagh-ha-e-diram
KHusraw-e-ishq ke KHazane se
shab ko mahfil mein dekh kar mujh ko
uTh gaya nind ke bahane se
kya milega falak tujhe batla
bekason ke are satane se
dekh kar raat-din ki nairangi
aa gaya tang main zamane se
dar-ba-dar phirte kis liye lekin
sab hain na-chaar aab-o-dane se
apne qatil ke ru-ba-ru 'KHanjar'
moDna munh na sar jhukane se
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.