zulf teri ne pareshan kiya ai yar mujhe
zulf terī ne pareshāñ kiyā ai yaar mujhe
terī āñkhoñ ne kiyā aap sā bīmār mujhe
dil bujhā jaa.e hai aġhyār kī shorish pe mirā
sard kartī hai tirī garmi-e-bāzār mujhe
aql hī maujib-e-taklīf huī hai nādāñ
kar ga.ī be-ḳhabarī aa ke ḳhabar-dār mujhe
taḳht aur chhitr salātīñ ko mubārak hove
bas hai kūche meñ tire sāya-e-dīvār mujhe
juuñ misāl us kī numūdār huī tuuñ hī 'bayāñ'
tapish-e-dil ne kiyā ḳhvāb se bedār mujhe
zulf teri ne pareshan kiya ai yar mujhe
teri aankhon ne kiya aap sa bimar mujhe
dil bujha jae hai aghyar ki shorish pe mera
sard karti hai teri garmi-e-bazar mujhe
aql hi maujib-e-taklif hui hai nadan
kar gai be-KHabari aa ke KHabar-dar mujhe
taKHt aur chhitr salatin ko mubarak howe
bas hai kuche mein tere saya-e-diwar mujhe
jun misal us ki numudar hui tun hi 'bayan'
tapish-e-dil ne kiya KHwab se bedar mujhe
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.