zulf uski meri zunnar hui jati hai
zulf us kī mirī zunnār huī jaatī hai
be-ḳhudī aur mazedār huī jaatī hai
paḌ ga.e chashm-e-sitam-gar ke sharāre ham par
taab zaḳhmoñ kī pur-asrār huī jaatī hai
shukr hai ham ko mohabbat ne bachā.e rakkhā
varna ye duniyā to bīmār huī jaatī hai
vahshatoñ hī kī kashākash kā karishma hai ye
ruuh miTTī kī bhī bedār huī jaatī hai
ābloñ ne jo uḌaa.ī hai hañsī zālim kī
dasht kī ḳhaak bhī gulzār huī jaatī hai
aaj phir us kī tamannāoñ ne āñkheñ kholīñ
aaj vīrānī chaman-zār huī jaatī hai
is adā se vo utar aaya mirī dhaḌkan meñ
zindagī apnī tarahdār huī jaatī hai
ishq ne aisī bulandī kī oḌhā.ī chādar
ab mohabbat mirā kirdār huī jaatī hai
aah kī badlī barastī hai sar-e-shām 'nadīm'
raat ehsās se sarshār huī jaatī hai
zulf us ki meri zunnar hui jati hai
be-KHudi aur mazedar hui jati hai
paD gae chashm-e-sitam-gar ke sharare hum par
tab zaKHmon ki pur-asrar hui jati hai
shukr hai hum ko mohabbat ne bachae rakkha
warna ye duniya to bimar hui jati hai
wahshaton hi ki kashakash ka karishma hai ye
ruh miTTi ki bhi bedar hui jati hai
aablon ne jo uDai hai hansi zalim ki
dasht ki KHak bhi gulzar hui jati hai
aaj phir us ki tamannaon ne aankhen kholin
aaj virani chaman-zar hui jati hai
is ada se wo utar aaya meri dhaDkan mein
zindagi apni tarahdar hui jati hai
ishq ne aisi bulandi ki oDhai chadar
ab mohabbat mera kirdar hui jati hai
aah ki badli barasti hai sar-e-sham 'nadim'
raat ehsas se sarshaar hui jati hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.