zulfon ka bikharna ek to bala, aariz ki jhalak phir waisi hi
zulfon ka bikharna ek to bala, aariz ki jhalak phir waisi hi
Mushafi Ghulam Hamdani
MORE BYMushafi Ghulam Hamdani
zulfoñ kā bikharnā ik to balā, aariz kī jhalak phir vaisī hī
āñkhoñ kā maTaknā hosh-rubā, har ek palak phir vaisī hī
vo shoḳh jo guzre misl-e-sabā, to bhaḌke na kyūñ-kar ātish-e-dil
ik taur kī us kī jumbish-e-pā, dāman kī jhaTak phir vaisī hī
koī kyuuñ na garebāñ chaak kare ab dekh ke chhab ko us but kī
pinDe kā jhalaknā haa.e ḳhudā, cholī kī masak phir vaisī hī
dil kyuuñ na kare siine meñ tapish, jab yaar kī ho ye rāh-o-ravish
raftār meñ ik albelī adaa, aur qad kī lachak phir vaisī hī
ham kyuuñ na kaf afsos maleñ, jab ve hī tirā pā-bos kareñ
dāman se ziyāda band-e-qabā, zulfoñ kī laTak phir vaisī hī
vo maah chhupāyā tū ne kahāñ hai jis se jigar par daaġh mire
sūrat to dikhā de mujh ko zarā jaldī se falak phir vaisī hī
ai 'mus.hafī' mere haal pe ab kyūñ-kar na koī afsos kare
be-sāḳhta dil betāb huā aañsū kī Dhalak phir vaisī hī
zulfon ka bikharna ek to bala, aariz ki jhalak phir waisi hi
aankhon ka maTakna hosh-ruba, har ek palak phir waisi hi
wo shoKH jo guzre misl-e-saba, to bhaDke na kyun-kar aatish-e-dil
ek taur ki us ki jumbish-e-pa, daman ki jhaTak phir waisi hi
koi kyun na gareban chaak kare ab dekh ke chhab ko us but ki
pinDe ka jhalakna hae KHuda, choli ki masak phir waisi hi
dil kyun na kare sine mein tapish, jab yar ki ho ye rah-o-rawish
raftar mein ek albeli ada, aur qad ki lachak phir waisi hi
hum kyun na kaf afsos malen, jab we hi tera pa-bos karen
daman se ziyaada band-e-qaba, zulfon ki laTak phir waisi hi
wo mah chhupaya tu ne kahan hai jis se jigar par dagh mere
surat to dikha de mujh ko zara jaldi se falak phir waisi hi
ai 'mushafi' mere haal pe ab kyun-kar na koi afsos kare
be-saKHta dil betab hua aansu ki Dhalak phir waisi hi
- Book : kulliyat-e-mas.hafii(awwal) (Pg. 443)
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.