zulfon ke sae mein aa kar chain mila hai pahli bar
zulfoñ ke saa.e meñ aa kar chain milā hai pahlī baar
merī pyāsī āñkhoñ ne dariyā dekhā hai pahlī baar
pyaar kise kahte haiñ ye ehsās huā hai pahlī baar
mere dil meñ mīThā mīThā dard uThā hai pahlī baar
mehñdī vaalī chāhat kā paiġhām milā hai pahlī baar
us ne apne haath pe merā naam likhā hai pahlī baar
pahlī baar sunā.ī dī hai dil ke dhaḌakne kī āvāz
dekh ke terī bholī sūrat dil machlā hai pahlī baar
pahlī baar taras aayā hai us ko merī hālat par
pyaar kī nazroñ se vo mujh ko dekh rahā hai pahlī baar
chāñd utar aayā hai mere ḳhvāboñ kī añgnā.ī meñ
ghūñghaT vaalī raat kā jaadū dil pe chalā hai pahlī baar
us ke pyaar meñ 'qaisar' sāhab aaj tilak maiñ zinda huuñ
jis ne mere armānoñ ko qatl kiyā hai pahlī baar
zulfon ke sae mein aa kar chain mila hai pahli bar
meri pyasi aankhon ne dariya dekha hai pahli bar
pyar kise kahte hain ye ehsas hua hai pahli bar
mere dil mein miTha miTha dard uTha hai pahli bar
mehndi wali chahat ka paigham mila hai pahli bar
us ne apne hath pe mera nam likha hai pahli bar
pahli bar sunai di hai dil ke dhaDakne ki aawaz
dekh ke teri bholi surat dil machla hai pahli bar
pahli bar taras aaya hai us ko meri haalat par
pyar ki nazron se wo mujh ko dekh raha hai pahli bar
chand utar aaya hai mere KHwabon ki angnai mein
ghunghaT wali raat ka jadu dil pe chala hai pahli bar
us ke pyar mein 'qaisar' sahab aaj tilak main zinda hun
jis ne mere armanon ko qatl kiya hai pahli bar
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.