zulm bhi Dhaenge tumhaare KHayal
zulm bhī Dhā.eñge tumhāre ḳhayāl
raas bhī ā.eñge tumhāre ḳhayāl
gungunā.egī merī tanhā.ī
saaz ban jā.eñge tumhāre ḳhayāl
mere hamrāh tum bhī ho jaise
duur tak jā.eñge tumhāre ḳhayāl
mere dil kī kitāb mat paḌhnā
Dagmagā jā.eñge tumhāre ḳhayāl
jab bhī kuchh kaam karne baiThūñgā
mujh ko bhaTkāeñge tumhāre ḳhayāl
jab unheñ ham rakheñge tāza-dam
kaise dhuñdlā.eñge tumhāre ḳhayāl
jaise chaḌh jaatā hai nasha 'bādal'
zehn par chhā.eñge tumhāre ḳhayāl
zulm bhi Dhaenge tumhaare KHayal
ras bhi aaenge tumhaare KHayal
gungunaegi meri tanhai
saz ban jaenge tumhaare KHayal
mere hamrah tum bhi ho jaise
dur tak jaenge tumhaare KHayal
mere dil ki kitab mat paDhna
Dagmaga jaenge tumhaare KHayal
jab bhi kuchh kaam karne baiThunga
mujh ko bhaTkaenge tumhaare KHayal
jab unhen hum rakhenge taza-dam
kaise dhundlaenge tumhaare KHayal
jaise chaDh jata hai nasha 'baadal'
zehn par chhaenge tumhaare KHayal
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.