zulm itna to na Dhao ki uTha bhi na sakun
zulm itna to na Dhao ki uTha bhi na sakun
Nayyar Qureshi Gangohi
MORE BYNayyar Qureshi Gangohi
zulm itnā to na Dhaao ki uThā bhī na sakūñ
dil ke jazbāt ko har lamha chhupā bhī na sakūñ
dil tumheñ chiir ke apnā maiñ dikhā bhī na sakūñ
kyā qayāmat hai tumheñ apnā banā bhī na sakūñ
ḳhud-satā.ī kā sabaq ahl-e-siyāsat jāneñ
be-sabab jaur-o-sitam koī uThā bhī na sakūñ
ahl-e-dil ahl-e-nazar mujh ko kaho yā na kaho
ḳhud-ġharaz ban ke kabhī maiñ to dikhā bhī na sakūñ
aaj ke daur kī tārīḳh ko likhne vaalo
nāravā zulm kī fariyād sunā bhī na sakūñ
ajnabī ban ke guzarte haiñ vo ġhairoñ kī tarah
ġham jo apnoñ ne diye haiñ vo sunā bhī na sakūñ
kuchh to hālāt kā maarā huā dil hai 'nayyar'
mehrbāñ ban ke kisī ko maiñ bulā bhī na sakūñ
zulm itna to na Dhao ki uTha bhi na sakun
dil ke jazbaat ko har lamha chhupa bhi na sakun
dil tumhein chir ke apna main dikha bhi na sakun
kya qayamat hai tumhein apna bana bhi na sakun
KHud-satai ka sabaq ahl-e-siyasat jaanen
be-sabab jaur-o-sitam koi uTha bhi na sakun
ahl-e-dil ahl-e-nazar mujh ko kaho ya na kaho
KHud-gharaz ban ke kabhi main to dikha bhi na sakun
aaj ke daur ki tariKH ko likhne walo
narawa zulm ki fariyaad suna bhi na sakun
ajnabi ban ke guzarte hain wo ghairon ki tarah
gham jo apnon ne diye hain wo suna bhi na sakun
kuchh to haalat ka mara hua dil hai 'nayyar'
mehrban ban ke kisi ko main bula bhi na sakun
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.