zulm jab had se siwa ho to ayan hota hai
zulm jab had se sivā ho to ayaañ hotā hai
dast-e-mazlūm meñ bhī sang-e-girāñ hotā hai
aaheñ bharne ke sivā kuchh na karegā lekin
ik dhamāka hī to tāsīr-e-fuġhāñ hotā hai
jaan kar be-sar-o-sāmān kabhī zulm na kar
saath mazlūm ke ḳhud rabb-e-jahāñ hotā hai
kaun hai vahshī yahāñ kaun hai mazlūm bhalā
us kā aḳhbār meñ har roz bayāñ hotā hai
tinke ban kar yūñhī bah jaate haiñ zālim saare
jab bhī insāf kā sailāb ravāñ hotā hai
vaqt ke aane se pahle hī sañbhal jā varna
ronā-dhonā tirā bilkul hī ziyāñ hotā hai
zulm par ḳhāmushī dānā.ī nahīñ hai 'nādir'
jāntā ḳhuub hai jo ahl-e-zabāñ hotā hai
zulm jab had se siwa ho to ayan hota hai
dast-e-mazlum mein bhi sang-e-giran hota hai
aahen bharne ke siwa kuchh na karega lekin
ek dhamaka hi to tasir-e-fughan hota hai
jaan kar be-sar-o-saman kabhi zulm na kar
sath mazlum ke KHud rabb-e-jahan hota hai
kaun hai wahshi yahan kaun hai mazlum bhala
us ka aKHbar mein har roz bayan hota hai
tinke ban kar yunhi bah jate hain zalim sare
jab bhi insaf ka sailab rawan hota hai
waqt ke aane se pahle hi sanbhal ja warna
rona-dhona tera bilkul hi ziyan hota hai
zulm par KHamushi danai nahin hai 'nadir'
jaanta KHub hai jo ahl-e-zaban hota hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.