zulm ke sar hai taj kya karte
zulm ke sar hai taaj kyā karte
be-asar ehtijāj kyā karte
ḳhud banā kar makān shīshe kā
pattharoñ kā 'ilāj kyā karte
thoḌī sī aañch meñ bhaḌak uThnā
jo the sho’la-mizāj kyā karte
chand TukḌoñ pe dum hilāne lage
fitratan sag-mizāj kyā karte
ḳhuun qistoñ meñ de diyā un ko
aur ham phir ḳharāj kyā karte
jin kā chhoTā sā dil thā ai 'rāshid'
vo mire dil pe raaj kyā karte
zulm ke sar hai taj kya karte
be-asar ehtijaj kya karte
KHud bana kar makan shishe ka
pattharon ka 'ilaj kya karte
thoDi si aanch mein bhaDak uThna
jo the sho’la-mizaj kya karte
chand TukDon pe dum hilane lage
fitratan sag-mizaj kya karte
KHun qiston mein de diya un ko
aur hum phir KHaraj kya karte
jin ka chhoTa sa dil tha ai 'rashid'
wo mere dil pe raj kya karte
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.