zulm ko tere ye taqat nahin milne wali
zulm ko tere ye tāqat nahīñ milne vaalī
dekh tujh ko mirī bai'at nahīñ milne vaalī
log kirdār kī jānib bhī nazar rakhte haiñ
sirf dastār se 'izzat nahīñ milne vaalī
shahr talvār se tum jiit ga.e ho lekin
yuuñ diloñ kī to hukūmat nahīñ milne vaalī
rāste meñ use dekhā hai ka.ī roz ke baa'd
aaj to rone ko fursat nahīñ milne vaalī
shafqateñ bāñTne ke taur bhī sīkheñ varna
'umr baḌhne se fazīlat nahīñ milne vaalī
'mīr' kī raah kā maiñ aap kulāhoñ vaale
aap se merī tabī'at nahīñ milne vaalī
dil dukhā maañ kā to phir chain nahīñ pāoge
ghar ko chhoḌā to kahīñ chhat nahīñ milne vaalī
zulm ko tere ye taqat nahin milne wali
dekh tujh ko meri bai'at nahin milne wali
log kirdar ki jaanib bhi nazar rakhte hain
sirf dastar se 'izzat nahin milne wali
shahr talwar se tum jit gae ho lekin
yun dilon ki to hukumat nahin milne wali
raste mein use dekha hai kai roz ke ba'd
aaj to rone ko fursat nahin milne wali
shafqaten banTne ke taur bhi sikhen warna
'umr baDhne se fazilat nahin milne wali
'mir' ki rah ka main aap kulahon wale
aap se meri tabi'at nahin milne wali
dil dukha man ka to phir chain nahin paoge
ghar ko chhoDa to kahin chhat nahin milne wali
- Book : Sare waraq tumhare (Pg. 61)
- Author : Tufail Chaturvedi
- Publication : National Publishing House (1994)
- Edition : 1994
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.