zulm kyon narawa kare koi
zulm kyoñ nāravā kare koī
kuchh to ḳhauf-e-ḳhudā kare koī
hogā maġhrūr aur bhī maġhrūr
aa.ina de ke kyā kare koī
sun le apne faqīr kī sun le
ik sadā hai bhalā kare koī
muft hī kar rahe haiñ zulm-o-sitam
qarz ho to adā kare koī
intihā ho chukī ḳhushāmad kī
us kī marzī kā kyā kare koī
aah likh kar qalam bhī toḌ diyā
haal kab tak likhā kare koī
āshiqoñ kā faqat bahāna hai
dard ho to davā kare koī
lo chalo bazm-e-ġhair meñ bhī chaleñ
dekheñ 'ejāz' kyā kare koī
zulm kyon narawa kare koi
kuchh to KHauf-e-KHuda kare koi
hoga maghrur aur bhi maghrur
aaina de ke kya kare koi
sun le apne faqir ki sun le
ek sada hai bhala kare koi
muft hi kar rahe hain zulm-o-sitam
qarz ho to ada kare koi
intiha ho chuki KHushamad ki
us ki marzi ka kya kare koi
aah likh kar qalam bhi toD diya
haal kab tak likha kare koi
aashiqon ka faqat bahana hai
dard ho to dawa kare koi
lo chalo bazm-e-ghair mein bhi chalen
dekhen 'ejaz' kya kare koi
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.