zulm-o-sitam ka jabr ka anjam kya hua
zulm-o-sitam kā jabr kā anjām kyā huā
thā nāmvar to ḳhuub magar naam kyā huā
ye pūchhtī hai vaqt kī dīmak batā zarā
jamshed tū kahāñ hai tirā jaam kyā huā
jalte machalte ġham meñ pighalte rahe magar
aa.ī jo sub.h bhuul ga.e shaam kyā huā
merā diyā bujhā na sakī sar-phirī havā
rūThī hai tū bhī gardish-e-ayyām kyā huā
rāvan thā maiñ to uf kī bhī jur.at kisī meñ thī
ban-bās mil gayā jo 'qamar' raam kyā huā
zulm-o-sitam ka jabr ka anjam kya hua
tha namwar to KHub magar nam kya hua
ye puchhti hai waqt ki dimak bata zara
jamshed tu kahan hai tera jam kya hua
jalte machalte gham mein pighalte rahe magar
aai jo subh bhul gae sham kya hua
mera diya bujha na saki sar-phiri hawa
ruThi hai tu bhi gardish-e-ayyam kya hua
rawan tha main to uf ki bhi jurat kisi mein thi
ban-bas mil gaya jo 'qamar' ram kya hua
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.