zulm-o-sitam ki aag mein jalta raha hun main
zulm-o-sitam kī aag meñ jaltā rahā huuñ maiñ
apne lahū meñ jal ke ubaltā rahā huuñ maiñ
yuuñ bhī nizām-e-dahr badaltā rahā huuñ maiñ
apne lahū se aag ugaltā rahā huuñ maiñ
insāniyat kī tīrgī ho duur is liye
qānūn kī kitāb meñ jaltā rahā huuñ meñ
mujh ko nichoḌtī rahī tārīḳh baar baar
misl-e-magas hī shahd ugaltā rahā huuñ maiñ
yuuñ husn-e-gulsitāñ ko baḌhātā huuñ maiñ 'majīd'
har lamha nok-e-ḳhār pe chaltā rahā huuñ maiñ
zulm-o-sitam ki aag mein jalta raha hun main
apne lahu mein jal ke ubalta raha hun main
yun bhi nizam-e-dahr badalta raha hun main
apne lahu se aag ugalta raha hun main
insaniyat ki tirgi ho dur is liye
qanun ki kitab mein jalta raha hun mein
mujh ko nichoDti rahi tariKH bar bar
misl-e-magas hi shahd ugalta raha hun main
yun husn-e-gulsitan ko baDhata hun main 'majid'
har lamha nok-e-KHar pe chalta raha hun main
- Book : Saaya-e-gul (Pg. 153)
- Author : Aslam Kiratpuri
- Publication : Critive Group, Mumbai (2000)
- Edition : 2000
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.