zulm par bhi jo sanam har dam ho
zulm par bhī jo sanam har dam ho
kyoñ na phir us kā sitam har dam ho
dard barpā kare mujh par har vaqt
bas mirā haath qalam har dam ho
us se har vaqt maiñ ḳhush rahtā huuñ
ye bharam hai to bharam har dam ho
raah pathrīlī sahī bas koī
yaañ milāne ko qadam har dam ho
rahtā har pal hai kisī but kā ḳhayāl
dil mohabbat meñ be-dam har dam ho
zulm par bhi jo sanam har dam ho
kyon na phir us ka sitam har dam ho
dard barpa kare mujh par har waqt
bas mera hath qalam har dam ho
us se har waqt main KHush rahta hun
ye bharam hai to bharam har dam ho
rah pathrili sahi bas koi
yan milane ko qadam har dam ho
rahta har pal hai kisi but ka KHayal
dil mohabbat mein be-dam har dam ho
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.