zulm se darguzar nahin aata
zulm se darguzar nahīñ aatā
haañ mujhe ye hunar nahīñ aatā
jab talak mere sar nahīñ aatā
un kā ilzām bar nahīñ aatā
tab falak par qamar nahīñ aatā
yaar jab baam par nahīñ aatā
farq-e-zer-o-zabar nahīñ aatā
mujh ko kuchh bhī nazar nahīñ aatā
hijratoñ kī añdherī rāhoñ meñ
chaltā jaatā huuñ ghar nahīñ aatā
chashm-e-nargis udaas rahtī hai
ab koī dīda-var nahīñ aatā
baat maiñ saaf saaf kartā huuñ
mujh ko ye gar magar nahīñ aatā
zindagī itnī der mohlat de
jab talak nāma-bar nahīñ aatā
jaane kab se huuñ muntazir us kā
par mirā muntazar nahīñ aatā
ishq detā hai ḳhud ḳhabar apnī
le ke qāsid ḳhabar nahīñ aatā
umr bhī lauT kar nahīñ aatī
vaqt bhī lauT kar nahīñ aatā
phir na mil pā.ūñgā zamāne se
yaad ḳhud ko agar nahīñ aatā
raushnī se bane jo hote haiñ
un kā saaya nazar nahīñ aatā
vaqt vo mehmān hai 'hassān'
jo kabhī lauT kar nahīñ aatā
zulm se darguzar nahin aata
han mujhe ye hunar nahin aata
jab talak mere sar nahin aata
un ka ilzam bar nahin aata
tab falak par qamar nahin aata
yar jab baam par nahin aata
farq-e-zer-o-zabar nahin aata
mujh ko kuchh bhi nazar nahin aata
hijraton ki andheri rahon mein
chalta jata hun ghar nahin aata
chashm-e-nargis udas rahti hai
ab koi dida-war nahin aata
baat main saf saf karta hun
mujh ko ye gar magar nahin aata
zindagi itni der mohlat de
jab talak nama-bar nahin aata
jaane kab se hun muntazir us ka
par mera muntazar nahin aata
ishq deta hai KHud KHabar apni
le ke qasid KHabar nahin aata
umr bhi lauT kar nahin aati
waqt bhi lauT kar nahin aata
phir na mil paunga zamane se
yaad KHud ko agar nahin aata
raushni se bane jo hote hain
un ka saya nazar nahin aata
waqt wo mehman hai 'hassan'
jo kabhi lauT kar nahin aata
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.