zulmat aisi ki sujhai nahin deta kuchh bhi
Interesting Fact
1975
zulmat aisī ki sujhā.ī nahīñ detā kuchh bhī
nuur itnā ki dikhā.ī nahīñ detā kuchh bhī
ḳhāmushī kī vo ḳhalā lafz laboñ se gir jaa.eñ
shor itnā ki sunā.ī nahīñ detā kuchh bhī
ek hamdard ne phir luuT lī dil kī bastī
dil vo ḳhūgar ki duhā.ī nahīñ detā kuchh bhī
bar-sar-e-rāh bhī gulzār khile haiñ kitne
dhun meñ manzil kī dikhā.ī nahīñ detā kuchh bhī
dasht se daulat-e-sayyāl milī auroñ ko
ham ko juz ābla-pā.ī nahīñ detā kuchh bhī
zulmat aisi ki sujhai nahin deta kuchh bhi
nur itna ki dikhai nahin deta kuchh bhi
KHamushi ki wo KHala lafz labon se gir jaen
shor itna ki sunai nahin deta kuchh bhi
ek hamdard ne phir luT li dil ki basti
dil wo KHugar ki duhai nahin deta kuchh bhi
bar-sar-e-rah bhi gulzar khile hain kitne
dhun mein manzil ki dikhai nahin deta kuchh bhi
dasht se daulat-e-sayyal mili auron ko
hum ko juz aabla-pai nahin deta kuchh bhi
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.