zulmat-e-dahr ka ehsan utara jae
zulmat-e-dahr kā ehsān utārā jaa.e
chāñd se koī falak-zād pukārā jaa.e
chuum kar maañ ke qadam aur duā.eñ le kar
ghar se niklūñ to mire saath sitārā jaa.e
furqat-o-hijr hai kyā dasht-e-judā.ī kyā hai
tum ko ma.alūm ho jab koī tumhārā jaa.e
phir kahīñ baiTh ke pī jaa.e ikaTThe chaa.e
phir koī shaam kā pal saath guzārā jaa.e
tum pe martā hai koī shaḳhs tumhāre jaisā
kyuuñ na us shaḳhs kī ḳhātir tumheñ haarā jaa.e
us kam-āmez ke va.adoñ pe bharosa kar ke
Dar hai phir se dil-e-ḳhush-fahm na maarā jaa.e
kaise tinke ke sahāre ko sahārā samjhūñ
is sahāre se to achchhā hai sahārā jaa.e
ye charāġhoñ ko bujhāne kī ghaḌī hai 'īmāñ'
jis ne ab chhoḌ ke jaanā hai ḳhudārā jaa.e
zulmat-e-dahr ka ehsan utara jae
chand se koi falak-zad pukara jae
chum kar man ke qadam aur duaen le kar
ghar se niklun to mere sath sitara jae
furqat-o-hijr hai kya dasht-e-judai kya hai
tum ko malum ho jab koi tumhaara jae
phir kahin baiTh ke pi jae ikaTThe chae
phir koi sham ka pal sath guzara jae
tum pe marta hai koi shaKHs tumhaare jaisa
kyun na us shaKHs ki KHatir tumhein haara jae
us kam-amez ke wadon pe bharosa kar ke
Dar hai phir se dil-e-KHush-fahm na mara jae
kaise tinke ke sahaare ko sahaara samjhun
is sahaare se to achchha hai sahaara jae
ye charaghon ko bujhane ki ghaDi hai 'iman'
jis ne ab chhoD ke jaana hai KHudara jae
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.