zulmat-e-shab ko bahar taur to Dhalna hoga
zulmat-e-shab ko bahar taur to Dhalnā hogā
ab har ik siip se motī ko nikalnā hogā
so chuke haiñ jo sabhī ḳhvāb jagāo logo
dil ko tā۔bīr kī ḳhvāhish pe machalnā hogā
ab to gir gir ke sañbhalne kā ravādār nahīñ
Thokaroñ se tumheñ har baar sañbhalnā hogā
apne a.asāb ko jazbāt ko faulādī kar
dil agar mom banā us ko pighalnā hogā
ik zarā chuuk na kar de kahīñ barbād tujhe
vaqt kī lai pe tujhe jhuum ke chalnā hogā
ban jā tū ahl-e-hunar ḳhud pe bharosa kar le
varna tujh ko bhī khilaunoñ pe bahalnā hogā
chhoḌ jaa.e na zamāna tujhe aadhe raste
ban ke burrāq tujhe aage nikalnā hogā
jaan le tū jo hai 'mumtāz' hai manzil koī
ārzūoñ ko sar-e-dast kuchalnā hogā
zulmat-e-shab ko bahar taur to Dhalna hoga
ab har ek sip se moti ko nikalna hoga
so chuke hain jo sabhi KHwab jagao logo
dil ko ta۔bir ki KHwahish pe machalna hoga
ab to gir gir ke sanbhalne ka rawadar nahin
Thokaron se tumhein har bar sanbhalna hoga
apne aasab ko jazbaat ko fauladi kar
dil agar mom bana us ko pighalna hoga
ek zara chuk na kar de kahin barbaad tujhe
waqt ki lai pe tujhe jhum ke chalna hoga
ban ja tu ahl-e-hunar KHud pe bharosa kar le
warna tujh ko bhi khilaunon pe bahalna hoga
chhoD jae na zamana tujhe aadhe raste
ban ke burraq tujhe aage nikalna hoga
jaan le tu jo hai 'mumtaz' hai manzil koi
aarzuon ko sar-e-dast kuchalna hoga
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.