zulmat-e-shab ne kiya chaak gareban apna
zulmat-e-shab ne kiyā chaak garebāñ apnā
vo huī sub.h vo ruḳhsat huā mehmāñ apnā
baḌh ga.ī aur bhī pahle se sivā vahshat-e-dil
kūcha-e-zulf huā jab se bayābāñ apnā
vaq.at-e-ishq-e-butāñ ham se to pūchhe koī
diin apnā hai yahī aur hai īmāñ apnā
laakh samjhāte haiñ bahlāte haiñ phuslāte haiñ
kabhī suntā nahīñ un kī dil-e-nādāñ apnā
saikḌoñ ġham haiñ hameñ saikḌoñ āzār hameñ
ab ḳhudā hī hai mohabbat meñ nigahbāñ apnā
sun ke tamhīd-e-mohabbat hī vo nārāz hue
kahne paa.e the na ham hāl-e-pareshāñ apnā
phuul murjhā ga.e baaqī na rahā rang-e-bahār
bāġhbāñ dekh ke rotā hai gulistāñ apnā
apnī sūrat kā nazārā hameñ kar lene do
dil kiye dete haiñ sau jaan se qurbāñ apnā
dekh kar ham ko sar-e-bazm vo haiñ teġh-ba-kaf
ab kuchh achchhā nazar aatā nahīñ sāmāñ apnā
girya-e-dīda-e-ushshāq ko jab dekheñge
hazrat-e-nūh ko yaad aa.egā tūfāñ apnā
kyā dikhā.eñge vo muñh jā ke ḳhudā ko 'hāmid'
dil butoñ se jo lagāte haiñ musalmāñ apnā
zulmat-e-shab ne kiya chaak gareban apna
wo hui subh wo ruKHsat hua mehman apna
baDh gai aur bhi pahle se siwa wahshat-e-dil
kucha-e-zulf hua jab se bayaban apna
waqat-e-ishq-e-butan hum se to puchhe koi
din apna hai yahi aur hai iman apna
lakh samjhate hain bahlate hain phuslate hain
kabhi sunta nahin un ki dil-e-nadan apna
saikDon gham hain hamein saikDon aazar hamein
ab KHuda hi hai mohabbat mein nigahban apna
sun ke tamhid-e-mohabbat hi wo naraaz hue
kahne pae the na hum haal-e-pareshan apna
phul murjha gae baqi na raha rang-e-bahaar
baghban dekh ke rota hai gulistan apna
apni surat ka nazara hamein kar lene do
dil kiye dete hain sau jaan se qurban apna
dekh kar hum ko sar-e-bazm wo hain tegh-ba-kaf
ab kuchh achchha nazar aata nahin saman apna
girya-e-dida-e-ushshaq ko jab dekhenge
hazrat-e-nuh ko yaad aaega tufan apna
kya dikhaenge wo munh ja ke KHuda ko 'hamid'
dil buton se jo lagate hain musalman apna
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.