zulmat hi pahle thi jo hawale mein rah gai
zulmat hī pahle thī jo havāle meñ rah ga.ī
tasvīr-e-kā.enāt ujāle meñ rah ga.ī
āñkhoñ kī hī sharāb thī tauba-shikan zarūr
kuchh aur bhī mai kī tarah pyāle meñ rah ga.ī
kartī hai maut jaise ta'āqub hayāt kā
titlī girī fazā se to jaale meñ rah ga.ī
bad-mazgī-e-sulūk kā gahrā asar huā
ik kankarī sī mere nivāle meñ rah ga.ī
zulmat hi pahle thi jo hawale mein rah gai
taswir-e-kaenat ujale mein rah gai
aankhon ki hi sharab thi tauba-shikan zarur
kuchh aur bhi mai ki tarah pyale mein rah gai
karti hai maut jaise ta'aqub hayat ka
titli giri faza se to jale mein rah gai
bad-mazgi-e-suluk ka gahra asar hua
ek kankari si mere niwale mein rah gai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.