zulmat ke Dar se bhagne wale KHabar bhi hai
zulmat ke Dar se bhāgne vaale ḳhabar bhī hai
tārīk shab ke baa'd tulū'-e-sahar bhī hai
kal tak to ḳhalvatoñ meñ mire saath saath thā
aaj us ko e'tirāz mulāqāt par bhī hai
manzil se gumrahī kā ab ehsās bhī hai kufr
ab to tirā ḳhayāl mirā ham-safar bhī hai
bad-qismatī kī is se baḌī aur kyā misāl
rahbar bhī saath saath hai luTne kā Dar bhī hai
kal tak mire ‘azīz-o-aqārib udaas the
lekin udaas aaj mirā chārāgar bhī hai
mauzū’-e-bahs ġhair kī tanqīd hī nahīñ
thoḌā sā ranj mujh ko tirī baat par bhī hai
gar maiñ huuñ muztarib to unheñ bhī sukūñ nahīñ
thoḌī ḳhalish idhar hai to thoḌī udhar bhī hai
zulmat ke Dar se bhagne wale KHabar bhi hai
tarik shab ke ba'd tulu'-e-sahar bhi hai
kal tak to KHalwaton mein mere sath sath tha
aaj us ko e'tiraaz mulaqat par bhi hai
manzil se gumrahi ka ab ehsas bhi hai kufr
ab to tera KHayal mera ham-safar bhi hai
bad-qismati ki is se baDi aur kya misal
rahbar bhi sath sath hai luTne ka Dar bhi hai
kal tak mere ‘aziz-o-aqarib udas the
lekin udas aaj mera chaaragar bhi hai
mauzu’-e-bahs ghair ki tanqid hi nahin
thoDa sa ranj mujh ko teri baat par bhi hai
gar main hun muztarib to unhen bhi sukun nahin
thoDi KHalish idhar hai to thoDi udhar bhi hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.