zulmaton ki sahar nahin aati
zulmatoñ kī sahar nahīñ aatī
aarzū koī bar nahīñ aatī
ḳhud-nigar vo haiñ aur ham ḳhud.dār
bigḌī bantī nazar nahīñ aatī
nau-giraftār-e-dām-e-ulfat haiñ
aah bhī karnī sar nahīñ aatī
mulk-o-millat bhī ho chuke nīlām
ham ko ġhairat magar nahīñ aatī
arsh se bekasoñ kī aah kabhī
lauT kar be-asar nahīñ aatī
aib-e-aġhyār par hai sab kī nazar
apnī sūrat nazar nahīñ aatī
vaqt kī tarah phir mire hamdam
zindagī lauT kar nahīñ aatī
aadmī aadmī kā shor bahut
ādamiyyat nazar nahīñ aatī
muttahid hoñ jo apne begāne
kyoñ vo sūrat nazar nahīñ aatī
haif 'gulzār' mulk-o-millat meñ
ab nasīm-e-sahar nahīñ aatī
zulmaton ki sahar nahin aati
aarzu koi bar nahin aati
KHud-nigar wo hain aur hum KHuddar
bigDi banti nazar nahin aati
nau-giraftar-e-dam-e-ulfat hain
aah bhi karni sar nahin aati
mulk-o-millat bhi ho chuke nilam
hum ko ghairat magar nahin aati
arsh se bekason ki aah kabhi
lauT kar be-asar nahin aati
aib-e-aghyar par hai sab ki nazar
apni surat nazar nahin aati
waqt ki tarah phir mere hamdam
zindagi lauT kar nahin aati
aadmi aadmi ka shor bahut
aadamiyyat nazar nahin aati
muttahid hon jo apne begane
kyon wo surat nazar nahin aati
haif 'gulzar' mulk-o-millat mein
ab nasim-e-sahar nahin aati
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.