aaj jo unchai par hai kya pata kal gir paDe
aaj jo ūñchā.ī par hai kyā patā kal gir paḌe
itnā kah ke ūñchī shāḳhoñ se ka.ī phal gir paḌe
saañs kī paa.el pahan kar zindagī niklī to hai
kyā patā kab TuuT kar ye us kī paa.el gir pare
ye bhī ho saktā hai patthar pheñkne vāloñ ke saath
un kā patthar ḳhud unheñ hī kar ke ghāyal gir paḌe
sar pe itnā bojh aur paañv meñ itnī Thokareñ
achchhā-ḳhāsā aadmī bhī ho ke pāgal gir paḌe
chaar pal ko ham bhī is duniyā kī āñkhoñ meñ 'kuñvar'
ban ke aañsū aa.e the aur ban ke bādal gir paḌe
aaj jo unchai par hai kya pata kal gir paDe
itna kah ke unchi shaKHon se kai phal gir paDe
sans ki pael pahan kar zindagi nikli to hai
kya pata kab TuT kar ye us ki pael gir pare
ye bhi ho sakta hai patthar phenkne walon ke sath
un ka patthar KHud unhen hi kar ke ghayal gir paDe
sar pe itna bojh aur panw mein itni Thokaren
achchha-KHasa aadmi bhi ho ke pagal gir paDe
chaar pal ko hum bhi is duniya ki aankhon mein 'kunwar'
ban ke aansu aae the aur ban ke baadal gir paDe
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.