aaj maqtal mein gul khil gae
aaj maqtal meñ gul khil ga.e
sar jhukā.e se qātil ga.e
ham talāsh-e-bahārāñ meñ the
raah meñ aap hī mil ga.e
zindagī gungunāne lagī
aap ke lab jahāñ hil ga.e
zaḳhm-e-dil un kī muskān par
kuchh khule aur kuchh sil ga.e
un ke chalne kī āvāz thī
yā farishtoñ ke par hil ga.e
aap ne muḌ ke dekhā hameñ
dard ko hausle mil ga.e
ḳhush-nasībī se 'āzād' ko
aap se ahl-e-dil mil ga.e
aaj maqtal mein gul khil gae
sar jhukae se qatil gae
hum talash-e-bahaaran mein the
rah mein aap hi mil gae
zindagi gungunane lagi
aap ke lab jahan hil gae
zaKHm-e-dil un ki muskan par
kuchh khule aur kuchh sil gae
un ke chalne ki aawaz thi
ya farishton ke par hil gae
aap ne muD ke dekha hamein
dard ko hausle mil gae
KHush-nasibi se 'azad' ko
aap se ahl-e-dil mil gae
- Book : Hindustani Gazle.n
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.