aaj saDkon par likhe hain saikDon nare na dekh
aaj saḌkoñ par likhe haiñ saikḌoñ na.are na dekh
ghar añdherā dekh tū ākāsh ke taare na dekh
ek dariyā hai yahāñ par duur tak phailā huā
aaj apne bāzuoñ ko dekh patvāreñ na dekh
ab yaqīnan Thos hai dhartī haqīqat kī tarah
ye haqīqat dekh lekin ḳhauf ke maare na dekh
ve sahāre bhī nahīñ ab jang laḌnī hai tujhe
kaT chuke jo haath un hāthoñ meñ talvāreñ na dekh
dil ko bahlā le ijāzat hai magar itnā na uḌ
roz sapne dekh lekin is qadar pyāre na dekh
ye dhuñdalkā hai nazar kā tū mahaz māyūs hai
rauzanoñ ko dekh dīvāroñ meñ dīvāreñ na dekh
raakh kitnī raakh hai chāroñ taraf bikhrī huī
raakh meñ chingāriyāñ hī dekh angāre na dekh
aaj saDkon par likhe hain saikDon nare na dekh
ghar andhera dekh tu aakash ke tare na dekh
ek dariya hai yahan par dur tak phaila hua
aaj apne bazuon ko dekh patwaren na dekh
ab yaqinan Thos hai dharti haqiqat ki tarah
ye haqiqat dekh lekin KHauf ke mare na dekh
we sahaare bhi nahin ab jang laDni hai tujhe
kaT chuke jo hath un hathon mein talwaren na dekh
dil ko bahla le ijazat hai magar itna na uD
roz sapne dekh lekin is qadar pyare na dekh
ye dhundalka hai nazar ka tu mahaz mayus hai
rauzanon ko dekh diwaron mein diwaren na dekh
rakh kitni rakh hai chaaron taraf bikhri hui
rakh mein chingariyan hi dekh angare na dekh
- Book : Saye mein dhoop (Pg. 31)
- Author : Dushyant Kumar
- Publication : Radha krishna Prakashan.Pvt.Ltd (2011)
- Edition : 2011
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.