ab ke mayus hi lauTa hai khilaune wala
ab ke māyūs hī lauTā hai khilaune vaalā
ek bachcha na milā gaañv meñ rone vaalā
kam se kam qatl kā manzar to na dekhā us ne
jāgne vāloñ se achchhā rahā sone vaalā
maañ ke āñchal pe haiñ bachchoñ ke lahū ke chhīñTe
koī aañsū nahīñ is daaġh ko dhone vaalā
ham to ārām se patthar pe bhī so jaate haiñ
goliyāñ niiñd kī khātā hai bichhaune vaalā
ye qalam aur ye kitābeñ ye samāj aur kumba
hai tirī tarah koī bojh ko Dhone vaalā
justujū phūloñ ko kaise na 'kiran' kī hotī
vo thā pairāhan-e-mausam ko bhigone vaalā
ab ke mayus hi lauTa hai khilaune wala
ek bachcha na mila ganw mein rone wala
kam se kam qatl ka manzar to na dekha us ne
jagne walon se achchha raha sone wala
man ke aanchal pe hain bachchon ke lahu ke chhinTe
koi aansu nahin is dagh ko dhone wala
hum to aaram se patthar pe bhi so jate hain
goliyan nind ki khata hai bichhaune wala
ye qalam aur ye kitaben ye samaj aur kumba
hai teri tarah koi bojh ko Dhone wala
justuju phulon ko kaise na 'kiran' ki hoti
wo tha pairahan-e-mausam ko bhigone wala
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.