ab kisi ko bhi nazar aati nahin koi darar
ab kisī ko bhī nazar aatī nahīñ koī darār
ghar kī har dīvār par chipke haiñ itne ishtihār
aap bach kar chal sakeñ aisī koī sūrat nahīñ
rahguzar ghere hue murde khaḌe haiñ be-shumār
roz aḳhbāroñ meñ paḌh kar ye ḳhayāl aayā hameñ
is taraf aatī to ham bhī dekhte fasl-e-bahār
maiñ bahut kuchh sochtā rahtā huuñ par kahtā nahīñ
bolnā bhī hai manā sach bolnā to darkinār
is sire se us sire tak sab sharīk-e-jurm haiñ
aadmī yā to zamānat par rihā hai yā farār
hālat-e-insān par barham na hoñ ahl-e-vatan
vo kahīñ se zindagī bhī maañg lā.eñge udhār
raunaq-e-jannat zarā bhī mujh ko raas aa.ī nahīñ
maiñ jahannam meñ bahut ḳhush thā mire parvardigār
dastakoñ kā ab kivāḌoñ par asar hogā zarūr
har hathelī ḳhuun se tar aur zyāda be-qarār
ab kisi ko bhi nazar aati nahin koi darar
ghar ki har diwar par chipke hain itne ishtihaar
aap bach kar chal saken aisi koi surat nahin
rahguzar ghere hue murde khaDe hain be-shumar
roz aKHbaron mein paDh kar ye KHayal aaya hamein
is taraf aati to hum bhi dekhte fasl-e-bahaar
main bahut kuchh sochta rahta hun par kahta nahin
bolna bhi hai mana sach bolna to darkinar
is sire se us sire tak sab sharik-e-jurm hain
aadmi ya to zamanat par riha hai ya farar
haalat-e-insan par barham na hon ahl-e-watan
wo kahin se zindagi bhi mang laenge udhaar
raunaq-e-jannat zara bhi mujh ko ras aai nahin
main jahannam mein bahut KHush tha mere parwardigar
dastakon ka ab kiwaDon par asar hoga zarur
har hatheli KHun se tar aur zyaada be-qarar
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.