ab milan ho ki ya judai ho
ab milan ho ki yā judā.ī ho
is qafas se mirī rihā.ī ho
ḳharch jo bhī thā kar liyā ham ne
ab to andar kī kuchh kamā.ī ho
hai haqīqat ḳhudā ḳhudā na kare
ye kahānī sunī sunā.ī ho
jism merā Darā kare mujh se
haath meñ jab diyā-salā.ī ho
zindagī roz is qadar dekho
jaise dulhan kī muñh-dikhā.ī ho
ab milan ho ki ya judai ho
is qafas se meri rihai ho
KHarch jo bhi tha kar liya hum ne
ab to andar ki kuchh kamai ho
hai haqiqat KHuda KHuda na kare
ye kahani suni sunai ho
jism mera Dara kare mujh se
hath mein jab diya-salai ho
zindagi roz is qadar dekho
jaise dulhan ki munh-dikhai ho
- Book : Gazal,Dushyant Ke Bad-volume-2
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.