anjam apne pyar ka behtar nahin hua
anjām apne pyaar kā behtar nahīñ huā
donoñ meñ ek bhī to suḳhan-var nahīñ huā
ham ko judā to honā thā ham ho ga.e judā
ab dam nikal rahā hai ke behtar nahīñ huā
ye fāsla nahīñ hai muqaddar kī baat hai
pahlū meñ mere kyuuñ mirā dilbar nahīñ huā
haiñ saath saath mere añdheroñ kī sāzisheñ
raushan kisī tarah jo muqaddar nahīñ huā
bhārī huā hai dil kabhī halkā huā hai dil
lekin kisī bhī haal meñ patthar nahīñ huā
bhīge zarūr 'ashk' magar ham ko naaz hai
paanī hamāre sar se to uupar nahīñ huā
anjam apne pyar ka behtar nahin hua
donon mein ek bhi to suKHan-war nahin hua
hum ko juda to hona tha hum ho gae juda
ab dam nikal raha hai ke behtar nahin hua
ye fasla nahin hai muqaddar ki baat hai
pahlu mein mere kyun mera dilbar nahin hua
hain sath sath mere andheron ki sazishen
raushan kisi tarah jo muqaddar nahin hua
bhaari hua hai dil kabhi halka hua hai dil
lekin kisi bhi haal mein patthar nahin hua
bhige zarur 'ashk' magar hum ko naz hai
pani hamare sar se to upar nahin hua
- Book : Gazal,Dushyant Ke Bad-part-2
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.