apna dard sunane baiTha
apnā dard sunāne baiThā
jaise hoñT jalāne baiThā
samajh na paayā kyā samjhā.ūñ
jab ḳhud ko samjhāne baiThā
arsa pahle bikhar gayā thā
kircheñ aaj uThāne baiThā
kamre kā saarā sannāTā
aa kar phir sirhāne baiThā
dekheñ kyā kyā tohmat legā
vo kirdār bachāne baiThā
apna dard sunane baiTha
jaise honT jalane baiTha
samajh na paya kya samjhaun
jab KHud ko samjhane baiTha
arsa pahle bikhar gaya tha
kirchen aaj uThane baiTha
kamre ka sara sannaTa
aa kar phir sirhane baiTha
dekhen kya kya tohmat lega
wo kirdar bachane baiTha
- Book : Hindustani Gazle.n
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.