aur kya is ke siwa ho jaega
aur kyā is ke sivā ho jā.egā
had se had to bevafā ho jā.egā
aa.ina dekhā na kar yuuñ baar baar
varna ye bhī sar-phirā ho jā.egā
maañg kar pahnī huī dastār se
sochtā hai vo baḌā ho jā.egā
ḳhushk patte dar-ba-dar ho jā.eñge
peḌ to phir bhī harā ho jā.egā
ḳhushbuoñ se dostī kar lījiye
titliyoñ meñ dabdaba ho jā.egā
aur kya is ke siwa ho jaega
had se had to bewafa ho jaega
aaina dekha na kar yun bar bar
warna ye bhi sar-phira ho jaega
mang kar pahni hui dastar se
sochta hai wo baDa ho jaega
KHushk patte dar-ba-dar ho jaenge
peD to phir bhi hara ho jaega
KHushbuon se dosti kar lijiye
titliyon mein dabdaba ho jaega
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.