bahut hai tumhein jo guman KHud pe hum ko
bahut hai tumheñ jo gumāñ ḳhud pe ham ko
tum yādoñ se apnī judā kar ke dekho
nahīñ thaam pāoge āñkhoñ ke jharne
hameñ ek din alvidā' kar ke dekho
miTā kar hameñ apnī hastī se tum
merī tasvīr kā sāmnā kar ke dekho
sajan kachche dhāgoñ kī taufīq ko tum
ḳhatm ek din vāsta kar ke dekho
laboñ pe yaqīnan hai inkār lekin
nigāhoñ se ham ko manā kar ke dekho
taqaddus meñ be-rang sī lag rahī ho to
tum zindagī ko ḳhatā kar ke dekho
asar tum pe un kā davāoñ sā hogā
parāyoñ ke haq meñ du'ā kar ke dekho
bahut hai tumhein jo guman KHud pe hum ko
tum yaadon se apni juda kar ke dekho
nahin tham paoge aankhon ke jharne
hamein ek din alwida' kar ke dekho
miTa kar hamein apni hasti se tum
meri taswir ka samna kar ke dekho
sajan kachche dhagon ki taufiq ko tum
KHatm ek din wasta kar ke dekho
labon pe yaqinan hai inkar lekin
nigahon se hum ko mana kar ke dekho
taqaddus mein be-rang si lag rahi ho to
tum zindagi ko KHata kar ke dekho
asar tum pe un ka dawaon sa hoga
parayon ke haq mein du'a kar ke dekho
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.