bahut sambhaal ke rakkhi to paemal hui
bahut sambhāl ke rakkhī to pā.emāl huī
saḌak pe pheñk dī to zindagī nihāl huī
baḌā lagāv hai is moḌ se nigāhoñ ko
ki sab se pahle yahīñ raushnī halāl huī
koī najāt kī sūrat nahīñ rahī na sahī
magar najāt kī koshish to ik misāl huī
mere zehan pe zamāne kā vo dabāv paḌā
jo ik saleT thī vo zindagī savāl huī
unheñ pata bhī nahīñ hai ki un ke paaoñ se
vo ḳhuuñ bahā hai ki ye gard bhī gulāl huī
mirī zabān se niklī to sirf nazm banī
tumhāre haath meñ aa.ī to ek misāl huī
bahut sambhaal ke rakkhi to paemal hui
saDak pe phenk di to zindagi nihaal hui
baDa lagaw hai is moD se nigahon ko
ki sab se pahle yahin raushni halal hui
koi najat ki surat nahin rahi na sahi
magar najat ki koshish to ek misal hui
mere zehan pe zamane ka wo dabaw paDa
jo ek saleT thi wo zindagi sawal hui
unhen pata bhi nahin hai ki un ke paon se
wo KHun baha hai ki ye gard bhi gulal hui
meri zaban se nikli to sirf nazm bani
tumhaare hath mein aai to ek misal hui
- Book : Saye mein dhoop (Pg. 58)
- Author : Dushyant Kumar
- Publication : Radha krishna Prakashan.Pvt.Ltd (2011)
- Edition : 2011
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.