band hon darwaze to kya ruk pati hai
band hoñ darvāze to kyā ruk paatī hai
dhuup dar auroñ se ho kar aa jaatī hai
raat der tak sochte rahne kī aadat
jaane kitne sapnoñ ko khā jaatī hai
chāñd sitāre dhartī ambar naach rahe
apnī lai meñ mast havā kyā gaatī hai
nadiyā ke dhāroñ ko chhū kar ik chiḌiyā
mīThī dhuup meñ apne pañkh sukhātī hai
ghane daraḳhtoñ ko jaatī pagDanDī se
ḳhāmoshī ham ko āvāz lagātī hai
band hon darwaze to kya ruk pati hai
dhup dar auron se ho kar aa jati hai
raat der tak sochte rahne ki aadat
jaane kitne sapnon ko kha jati hai
chand sitare dharti ambar nach rahe
apni lai mein mast hawa kya gati hai
nadiya ke dhaaron ko chhu kar ek chiDiya
miThi dhup mein apne pankh sukhati hai
ghane daraKHton ko jati pagDanDi se
KHamoshi hum ko aawaz lagati hai
- Book : Gazal,Dushyant Ke Bad-part-2
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.