basti ko aag ki ye qaba kaun de gaya
bastī ko aag kī ye qabā kaun de gayā
bujhtī nahīñ hai aag havā kaun de gayā
insān kī talāsh meñ bastī ke log the
in bastiyoñ ko itne ḳhudā kaun de gayā
sab kā safed ḳhuun hai ye to batā.iye
un kī hatheliyoñ ko hinā kaun de gayā
be-roz-gārī Tiis ghuTan dard aur kasak
in sab ko mere ghar kā pata kaun de gayā
ai rahnuma-e-mulk agar de sako javāb
hindostāniyat ko daġhā kaun de gayā
basti ko aag ki ye qaba kaun de gaya
bujhti nahin hai aag hawa kaun de gaya
insan ki talash mein basti ke log the
in bastiyon ko itne KHuda kaun de gaya
sab ka safed KHun hai ye to bataiye
un ki hatheliyon ko hina kaun de gaya
be-roz-gari Tis ghuTan dard aur kasak
in sab ko mere ghar ka pata kaun de gaya
ai rahnuma-e-mulk agar de sako jawab
hindostaniyat ko dagha kaun de gaya
- Book : Ghazals Dushyant Ke Baad (Pg. 59)
- Author : Dixit Dankauri
- Publication : Vani Prakashan (2003)
- Edition : 2003
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.