bastiyon mein sar chhupane ko Thikana DhunDna
bastiyoñ meñ sar chhupāne ko Thikānā DhūñDnā
banjaroñ meñ pāgaloñ sā aab o daanā DhūñDnā
jis tarah sahrā meñ paanī DhūñDte haiñ tishna-lab
dostoñ ke biich rah kar dostāna DhūñDhnā
aadmī meñ ādamiyyat aur ḳhushbū phuul meñ
ho sake to shahr meñ ab ye ḳhazāna DhūñDnā
sher kahnā ab adab ke vāste aisā lage
jaise gūñgoñ ke liye koī tarāna DhūñDnā
DhūñDte haiñ ab tire ham-asr maqtal meñ panāh
'nūr' tum lafzoñ meñ tevar qātilāna DhūñDnā
bastiyon mein sar chhupane ko Thikana DhunDna
banjaron mein pagalon sa aab o dana DhunDna
jis tarah sahra mein pani DhunDte hain tishna-lab
doston ke bich rah kar dostana DhunDhna
aadmi mein aadamiyyat aur KHushbu phul mein
ho sake to shahr mein ab ye KHazana DhunDna
sher kahna ab adab ke waste aisa lage
jaise gungon ke liye koi tarana DhunDna
DhunDte hain ab tere ham-asr maqtal mein panah
'nur' tum lafzon mein tewar qatilana DhunDna
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.