bhaTakta hun dar dar kahan apna ghar hai
bhaTaktā huuñ dar dar kahāñ apnā ghar hai
udhar bhī sunā hai ki un kī nazar hai
unhoñ ne mujhe dekh ke sukh jo pūchhā
to maiñ ne kahā kaun jaane kidhar hai
jo duniyā se uubā to apne se uubā
ye kaisī havā hai ye kaisā asar hai
ye jīvan bhī kyā hai kabhī kuchh kabhī kuchh
kahā maiñ ne kitnā nahīñ hai magar hai
bure din meñ bhī jo burā.ī na taake
vahī aadmī hai vahī ek nar hai
'trilochan' ye maanā bachā kar chaloge
magar duniyā hai ye hameñ is kā Dar hai
bhaTakta hun dar dar kahan apna ghar hai
udhar bhi suna hai ki un ki nazar hai
unhon ne mujhe dekh ke sukh jo puchha
to main ne kaha kaun jaane kidhar hai
jo duniya se uba to apne se uba
ye kaisi hawa hai ye kaisa asar hai
ye jiwan bhi kya hai kabhi kuchh kabhi kuchh
kaha main ne kitna nahin hai magar hai
bure din mein bhi jo burai na take
wahi aadmi hai wahi ek nar hai
'trilochan' ye mana bacha kar chaloge
magar duniya hai ye hamein is ka Dar hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.